Aamir Hamza Nizami


Friday, January 4, 2019

Hadaiq e Baqshish Rukh Din Hai Ya Mehre Samaa, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi



Rukh Din Hai Ya Mehre Samaa, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Shab Zulf Ya Mushke Khuta, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Mumkin Me Ye Qudrat Kaha, Waajib Me Abdiyat Kaha
Haira'n Hu Ye Bhi Hai Khata, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Haq Ye Ki Hai Abde Ilah Aur Aalam E Imkaa'n Ke Shah
Barzakh Hai Wo Sirre Khuda, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Bulbul Ne Ghul Unko Kaha, Kumree Ne Sarve Jaanfiza
Hairat Ne Jhunjhla Kar Kaha Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Khursheed Tha Kis Zour Par Kya Badh Ke Chamka Tha Qamar
Be Parda Jab Wo Rukh Hua Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Darr Tha Ki Isyaa'n Ki Saza Ab Hogi Ya Rouze Jaza
Dee Unki Rehmat Ne Sadaa Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Koyi Hai Naazo Zuhad Par Ya Husne Tauba Hai Sipar
Yaa'n Hai Faqat Teri Ataa Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Din Lahv Me Khona Tujhe, Shab Subha Tak Sona Tujhe
Sharme Nabi Khaufe Khuda Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Rizq E Khuda Khaya Kiya, Farmaan E Haq Taala Kiya
Shukre Karam Tarse Saza Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Hai Bulbule Rangi RAZA  Ya Tutiye Nagma Saraa
Haq Yeh Ki Wasif Hai Tera Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

♡ Taj Daare Khatme Nabuwwat Zindabad♡
♡ Ghous o Khawaja Ke Karam Se ♡
♡ Faizane Raza Jari Rahega ♡
♡ Maslake Aalahazrat Zindabad ♡

No comments:

Post a Comment