Aamir Hamza Nizami


Friday, January 4, 2019

Hadaiq e Baqshish Tu Hai Woh Ghaus Ke Har Ghaus Hai Shaida Tera

Tu Hai Woh Ghaus Ke Har Ghaus Hai Shaida Tera
Tu Hai Woh Gais Ki Har Gais Hai Pyasa Tera

Suraj Aglo Ke Chamakte The Chamak Kar Dube
Ufuqe Noor Pe Hai Mehar Humesha Tera

Murg Sab Bolte Hain Bolke Chup Rehte Hai
Haan Aseel Ek Nawasanj Rehega Tera

Jo Wali Qabl The Ya Baad Huye Ya Honge
Sab Adab Rakhte Hai Dil Me Mere Aaqa Tera

Tu Hai Naushah Baraati Hai Ye Saara Gulzaar
Layi Hai Fasle Saman Goondh Ke Sehra Tera

Daaliyan Jhumti Hai Raqse Khushi Josh Pe Hai
Bulbule Jhulti Hai Gaati Hai Sehra Tera

Geet Kaliyon Ki Chatak Gazle Hazaron Ki Chahak
Bag Ke Saajo Me Bajta Hai Tarana Tera

Safe Har Shajra Me Hoti Hai Salami Teri
Shaakhe Jhuk Jhuk Ke Baja Laati Hai Mujra Tera

Kis Gulistan Ko Nahi Fasle Bahari Se Niyaaz
Kaun Se Silsile Me Faiz Na Aaya Tera

Nahi Kis Chaand Ki Manzil Me Tera Jalwaye Noor
Nahi Kis Aaine Ke Ghar Me Ujaala Tera

Raaj Kis Shehar Me Karte Nahi Tere Khuddaam
Baaj Kis Nehar Se Leta Nahi Dariya Tera

Mazraye Chisht o Bukhara Wa iraqo Ajmer
Kaun Si Kisht Pe Barsa Nahi Jhaala Tera

Aur Mehboob Hain, Ha Par Sabhi Yaksa To Nahi
Yu To Mehboob Hai Har Chahne Wala Tera

Usko So Fard Sarapa Ba Faragat Odhe
Tang Ho Kar Jo Utarne Ko Ho Neema Tera

Gardane Jhuk Gayi Sar Bich Gaye Dil Laut Gaye
Kasfe Saaq Aaj Kaha Ye To Qadam Tha Tera

Taaje Farqe Urafa Kis Ke Qadam Ko Kahiye
Sar Jise Baaj De Woh Paau Hai Kiska Tera

Sukr Ke Josh Me Jo Hain Woh Tujhe Kya Jaane
Khizr Ke Hosh Se Pooche Koi Rutba Tera

Aadmi Apne Hi Ahwal Pe Karta Hai Qiyas
Nashe Walo Ne Bhala Sukr Nikala Tera

Who To Choota Hi Kaha Chahe Ki Hai Zere Hazeez
Aur Har Auj Se Unchaa Hai Sitara Tera

Dile Aa’da Ko RAZA Tez Namak Ki Dhun Hai
Ek Zara Aur Chidakta Rahe Khama Tera

♡ Taj Daare Khatme Nabuwwat Zindabad♡
♡ Ghous o Khawaja Ke Karam Se ♡
♡ Faizane Raza Jari Rahega ♡
♡ Maslake Aalahazrat Zindabad ♡

No comments:

Post a Comment